Zindagi kabhi mehrbaan hoti humpe...
to aankhoon se ashq humne bahaye na hote...
sapno ke mehal humne basaaye na hote....
kya hota ager hum kisi se pyaar na kerte...
to shayad humare sang nafrato saaye na hote!!
Zindagi kabhi mehrbaan hoti humpe...
to mohabbat kerke bhi tanhaiyo mein din bitaye na hote...
pyaar ki khatir bewafaa hum kehlaaye na hote...
na log humse kerte swalat na hum dete koi jawab...
or mehfillo ne kabhi pather humpe bersaaye na hote!!
Zindagi kabhi mehrbaan hoti humpe...
to her gum pa ker bhi hum larhkharhaye na hote...
apna humdard maan ker unko unse aansoon chupaye na hote...
lutt jati chahe her khushi nauuchaver kerte khud ko...
per unki yaad mein humne kabhi ashq bahaye na hote
aankhoon mein aansoon leker bhi hum muskuraye na hote!!!
"Tarni"
6 comments:
Kaash Honton Mein Dabi Dui Chahat Kabhi Izhaar Ki Hoti To
Aankhon Mein Chipa Hua Khwab Aaj Haqeeeqat Mein Balta Hota
Kaash Apne Dil Ki Awaaz Lafzon Mein Likhi Hoti To
Humare Dil Ke Dawraje Pe Aaj Aap Ki Chitti Dastak Deta Hota
Kaash Aap Kabhi Hum Par Bhi Meherbaan Ho Jaate To
Humari Zindagi Jhukh Kar Aaj Aap Ke Kadam Choomti Hoti
Zindagi mehrbaan hoti hai unpe,
jo zindagi ko gale lagate hain,
pyar ka matlab samajh paate hain,
Zindagi se nazar milate hain,
Aur hamesha aage badhte jaate hain....
"Log kehte hain ki humein aadat hain muskurane ki.....
par unhe kya pata ki ye bhi ik ada hai gum chuoane ki....."hmmmmm.......
nyways this is beautifulllll !!
all d bst !!
keep writing n keep smiling :-)
"Zindagi kabhi mehrbaan hoti humpe..."
Well said gurl ...
but do u know zindagi is already mehebaan on u 4 d kind of family u hv got and hey dont forget ... U got me as a friend :D
Hugs for my sweet friend >:D<
GBU
Arti
Tarni :
after several years I am reading such deep shers.
I fall in love with these words, they all make up
such a beautiful meaning that I get lost in them
always.
Here's one from my side, its not my original but just
loved it always, maybe something close to heart , thats why.
"Dard hi dard mila zindagi mein, khushi hamein aayee raas nahin,
Dil bhi aaya toh uspar, jiskay milnay kee bhi aas nahin"
And emotions has written a very beautiful sher( I read it long time back).
God bless you guys who find depth in these words which look so dull to a
common man.
-ATG
good one..
mere ghamon ki kahaani ithni mashhoor hai shehar mein,
kabhi muskuraaoon tho log wajah puuchthe hai :)
Post a Comment