Jaane kyo humne mohobaat ki,
Jaane kyo humne dushmani li,
Khud ke pass reh ker bhi...
Khud ko bhulaa baithe thea hum,
Khud ko hassa ker
Khud ko rula baithe thea hum,
Per ab nahi...
Bass bahut hua...
Ab na hume ye aansoon chahiye
Naa hi aankhoon mein nami,
Na khushioon ki maang hai humari,
Na maange ge gami,
Zindagi ko nahi rehne deinge ab hum simta
Kisi ki nafrat ki nahi ab hume koi chinta,
Pyaar kareinge sabb se pyaar ki khatir,
Nafrat leinge sabse pyaar ki khatir,
Pyaar mein bahut kamm jite hai,
Nafraat ne maare hazaar,
Mohobbaat ke dekhe nahi humne kabhi bazaar,
Pyaar deke pyaar mange... ye hasrat nahi humari,
Pyaar se jeet leinge ik din hum duniyaa sari!!!
"Tarni"
3 comments:
Hmmm....toooo good kavita hai ji...
all d bst !!
keep writing n keep smiling :-)
"Pyaar kareinge sabb se pyaar ki khatir,
Nafrat leinge sabse pyaar ki khatir,"
Haan yahi pyar hai ... :|
GBU
Arti
@ Neetika : thanks neetika for your visit!
@ Emotions : Emotions ji ko thankyou hai ji! you too keep enjoying the writes!
@ Akansha : Pyaar ko Pyaar sumajh ke kiya nahi, nafrat ko gumm humne kabhi diya nahi, aansoon aate hai aankhoo ki dehleez per, fir bhi zeher ka ghoot humne piya nahi!!
@ Hiren : Ji aapne bahut sahi fermaya... Muhabbat kerne ka maza tab aata hai jub dono taraf baraber ki aag lagi hoo... verna ik taraf chingariyaan uthti hai or ek taraf hawaa mein udti hai bachi hui raakh.... Kuch jyada ho gya nai??
Post a Comment