Thursday, December 15, 2005

Ek Rishta Unse Anokha

Ek rishta unse hai anokha
jo hum samazh nahi pate hain,
magar unke bina kahin hum
jaise kho se jate hain,
Mile nahi hai unse aajtak
magar vo apne se lagte hain,
Paraye nahi hai fir bhi
apna nahi kah patein hain,
Unhe lagta hai ki hum
unse mazak kar rahe hain,
jane kyon woh is hassi mein chipe
gam ko jan nahi paatein hain,
Hum to unke kabil bhi nahi nahi,
phir bhi hume dost bulate hain.

Aaksar sochti hoon
pyar kyon kiya jata hai,
Rakh nahi paate jo dil mein
vo aitbaar kyo kiya jata hai,
Kasmein sath jinne marne ki
Jaise kho si jaati hain,
Jub juda pyaar hota hai
per yaadein reh jati hai,
Rahte hain khushi mein saath
gum akele sehne parte hai,
Jindagi her pal kuch samjhati hai,
per hum samajh nahi pate hain,
jindagi pyaar kerna sikhati hai
or nafrat zindagi bahaa le jati hai!


"Tarni"



4 comments:

Anonymous said...

lovely yaar

Anonymous said...

Hey there....tarni >>>the only poetess i know ....and i guess the best one in its terms...she cud write any moment ,any feeling ,any phase of life on paper which less can do ...and this one is a great write ass all ...actually cant pic one out to be the best... she writes better every time....Keep it up ..*

Arti Honrao said...

Tarni ... tussi chhaa gaye ho :)
Keep it up


Arti

Akruti said...

Hyderabad? wow,happy to see more bloggers from Hyd:)
Beautiful lines there.