Lagta hai aise...
Tune hi jaise...
Khilti meri duniya ko sajaya,
Phul or kaliyoon si nazuk banaya....
Her saans mein tera hi roop samaaya!
Lagta hai aise...
Tune hi jaise...
Rango ko itna rangeen banaya,
Rango ko aapas mein milna sikhaya....
Her rang mein tera hi aks samaaya!
Lagta hai aise...
Tune hi jaise...
In phuloon ko kalioon ko khilna sikhaya,
Khil ke fir unko mehkna bataya....
Tera hi chehra her kunn mein samaaya!
Lagta hai aise...
Tune hi jaise...
Paani ko amber ka badal banayaa,
Badaloon ko fir barasna sikhaya....
Her boond mein basaa tera sermaya!
Lagta hai aise...
Tune hi jaise...
Hawaa ko halka sa jhoka banaya,
Jhoke ko zulpho se ulajhna sikhaya....
Her ehsaas mein tera apna pann hai samaya!
Lagta hai aise...
Tune hi jaise...
Sabko pyaar kerna sikhaya,
Pyaar bina fir jeena bataya....
Her aansun mein sirf tu hai samaya!
"Tarni"
3 comments:
wah- wah
wah- wah
wah- wah
wah- wah
maan hae jee aapko boss....
sahi likhte ho jee aap...
Shukriya us khuda ko ,
jisne aapko itna accha banaya
Sandy
Mast!
GBU
Arti
Post a Comment