Monday, September 11, 2006

Dosti Kub Chahat Bani....

Dosti kub chahat mein badli khaber na hui..
Chahat mein kitni raatein ye aakhein na soyi...
Chahat ne jub madhhoshi orhi pataa na chala...
Khaber nahi duniya ki na jaane kub suraj dhala...

Ji mein aataa hai itne aasoon bahaoon
Ki meri hakiqat bhi beh jaaye...
Dhooaaan bann udh jaaon

Buss mitti reh jaaye...
Roker bhi muskurati rahoon
Aie dost tere liye...
Has has ke seh jaaoon her jakham
Aie dost tere liye...

Tujhse bhi kya gila karoon
Tu to khud anjaan tha...
Tune herdam wafa ki fir
Kaise keh doon tu baimaan tha..

Koi ager hume asoon bheje...
Aakhon mein samet leinge...
Koi ager chahat bheje..
Dil mein samet leinge
Kaise sameitoon unn lamho ko...
Jo bite teri yaad mein...
Kaise bhulaoon unn duaaoon ko...
Jo bite thea fariyaad mein
Khush rahe tu sada iss liye muskuraiyeinge...
Aasoon bhari akho mein bhi
Khushi ke aasoon chalkayege

Khuda ne ager gum diya to khushi bhi di hai...
Khuda ne jio aakhein di to nami bhi di hai...
Kabhi dard bann ker chalak jaate hai kabhi pyaar bann ker
Khuda ne ager maut di usse pehle jindagi bhi di hai

"Tarni"