Tuesday, May 22, 2007

Yaad Aa Gya!!

Aaj fir uska muskurana yaad aa gya
Uski baato pe humaara sharmana yaad aa gya
Koi nahi aaya to buss vo...
Jisko soch ke aakhon ko ashq bahana yaad aa gya!!


Uski baatoon ki gehraai...
Doob jaane ko ji chahta tha...
Buss usi pal dil seham sa jata tha...
Fir vahi guzra jamana yaad aa gya...
Nahi aaya to buss vo...
Jisko soch ke aakhon ko ashq bahana yaad aa gya!!


Ab intejaar nahi uske aane ka...
Vo tute dil vo tute aashiane ka...
Fir bhi uska pyaar se bulaana yaad aa gya...
Nahi aaya to buss vo...
Jisko soch ke aakho ko ashq bahana yaad aa gya!!


Bahut ro liye ab aansoon mein bhi nami nahi
Samajh nahi aata hum thea galat yaan vo tha sahi
Jindagi sath bitane ka wada kerke
Usko duniya ke dastoor nibhana yaad aa gya
Buss nahi aaya to vo...
Jisko soch ke aakhon ko ashq bahana yaad aa gya!!



"Tarni"

Wednesday, March 21, 2007

Mehfilo Mein Muskurahat Ke Mukhaute...

Mehfilo mein muskurahat ke mukhaute...
Pehnane ki adaat si ho gayi...
Rone ko bhi log kehte hai to hum...
Muskuraa ke taal jaate hai...

Log kehte hai duniya mein jina sikho...

Bekhaber hai ki humani duniya hi kho gayi!!


Mehfilo mein muskurahat ke mukhaute...
Sare gum dil mein samete
Khud ko teri chahat mein neuchaver ker
Humne dil ko khub rulaya
Ab to buss jine ki adaat si ho gayi
Pehan ker muskurahat ke mukhaute!!


"Tarni"